Hum Bhi Gate Ki Taraf Jane Lage Lekin Vahan Kaafi Bheed Thi Becouse Media Bhi Aayi Hui Thi Fir Hame Ahsaas Hua Ki Koi Bahot Bada Aadmi Hai Varna Media Itni Jaldi Thodi Aati Hai. Kaafi Der Mehnat Ke Baad Jab Hame Kuch Dikhayi Na Diya To Aayat Boli Chal Yaar Uper Vale Floor Se Jakar Dekhte Hai Lekin Maine Mana Kar Diya Main Boli Nahi Yar Paas Se Hi Dekhenge. Kuch Der Baad Sabhi Aage Se Hat Gaye Unhe Rasta Dene Ke Liye Taaki Vo Ander Aa Sake Lekin Jaise Hi Log Aage Se Hate Meri Aur Aayat Ki Shakal Dekhne Vali Ho Gayi Pehle To Humne Unhe Dekha Aur Fir Ek Dusre Ki Taraf Dekhne lage. Kyuki Samne Koi Aur Nahi Balki Rehan khada Tha Pehle To Mujhe yakeen Nahi Hua Jab Jinu Rehan Ke Paas Aaye Aur Rehan Se Bole Sir Welcome Aur Rehan Ne Hath Milakar Jiju Ko Thank You Bola Tab Hame Thoda Sa Yakeen Hua Ki Is Mall Ka Owner Rehan Hai. Mujhe To Hairani Ke Sath Khushi Bhi Ho Rahi Thi Lekin Aayat Ke Face Par Se Hairani Ka Asar Khatm Hone Ka Name Hi Nahi Le Raha Tha. Maine Aayat Se Bola Chal yar Milkar Aate Hai Rehan Se Isse Pehle Ki Aayat Kuch Jawab Deti Main Zor Se Chillayi Rehaaaann...
Rehan Ne Hame Mud Kar Dekha Is Baar Haiaran Hone Ki Baari Jiju Aur Rehan Ki Thi Rehan Hamari Taraf Aaya Aur Bahot Hi Acche Se Mujhse Mila Usne Aayat Ki Taraf Bhi Hath Badhaya Aayat Ne Hath To Utha Liya Lekin Uski Nazrein Nahi Uth Rahi Thi. Jiju Ki Annakhon Mai Bhi Bahot Sare Sawal The Ki Hum Rehan Ko Kaise Jante Hai ? Lekin Main To Bass Rehan Ko Dekh Rahi Thi Yar Kya Lag Raha Tha. Kya Persnlty Ho Gayi Thi Uski Maine Rehan se Pucha Aisa Kya Kar Diya Bacchu Jo Jahan Tak Pahoch Gaye Ho. To Rehan Ne Bola Bass Khuda Ka Karam Hai Aur Kuch Isliye Bhi Bann Gaya Hun Taaki Meri Poori Family Ki Income Itni Ho Jaye Taaki Koi Insan 1 Din Mai Acche Se Shopping Kar Sake. Means Rehan Apni Insult Bhoola Nahi Tha Aur Shayad Aayat Ki Insult Ne Hi Rehan Ko Yahan Tak Pahuchaya Tha. Aayat Kuch Na Bol Saki Bass Nichi Nigaah karke Khadi Rahi Aaj Uski Batein Us Par Hi Maar Di Gayi Thi. Rehan excuse me Bolkar Vahan Se Chala Gaya Tha. Main Aayat Ki Condition Samjh Sakti Thi Isliye Main Aayat Ko Lekar Ghar Aa Gayi....
So Friends Ye Thi Meri Best Friend Ki Story. Kabhi Bhi Paiso Ko Pyar Par Importance Mat Do Yar Paise To Aane Jane Vali Chiz Hai. Aur I am Requesting To All of You Please Kisi Ki Bhi Insult Mat Karo Agar Vo Aapko Napasnd Hai To Pyar Se Na Kardo. Kyuki Aap Jise Jo Kuch Dete Hai Vo Loutkar Zaroor Aata Hai Fir Chahe Vo Izzat Ho Ya Beizzati.
Aur Friends Mera Aapko Story Batane Ka Purpose Bhi Yahi Tha.
THANK YOU
— The End — Write a review