Download App

Chapter 2: Lover's of Los Angeles

yeh Los Angeles tha jaha raat gaye tk public transport chalti rehti thi ajj ek alag din tha Suzi apni job sy wapis apny Ghar nhi Jana chahti thi. woh akeli aur khamosh larki thi bilkul Nobel stories mei batye Janey wali larkiyoo jaisi pr Suzi bht haseen thi . Chand ke tarf dekhti huway sarak pr Kafi dalari sey qadam utha rehi thi . shayad uss ney pee rekhi thi . abb woh ek Bus stop pr aa kr rook gai yeh Wohi bus thi Jo us ko uss k Ghar tak ley jaya krti thi . woh bus mei charhi aur sab sy akhri seat or Nazar dorai yeh uss ka rooz ka mamool tha woh akhri seat pr jaa kr beth gai .

abb uss ney apny sath bethy huway shkhas kee taraf dekh kr sawal Kiya . Kiya mei khoobsoorat nhi hoon ? woh ek ajnabi shakhas tha joo delh ney mei 35 saal ka maloom hota tha woh achi shakal o surat ka tha .

mei ney aisa kab kaha Martin ney jawab diya . tu Tum Meri taraf q nhi dekhty ? Suzi ney phir sawal Kiya . jis pr Martin ney galley ko saaf krty huway jawab diya . app abhi mery Liye ek bilkul ajnabi larki hain aur mujhy aisa hee lagta hai .

aur iss ney iss bar apni Nazar utha kr jab Suzi kee ankhoo kee Janab dekha tu woh un ankho mei doob gaya Jo k ek samandar sey dekhti ankhy thi aur koi bhi un ankho mei doob sakta tha .

aur Martin un ankhoo ko dekhty hee khamosh hoo gaya jab k Suzi abb bhi Martin kee janib dekh rehi thi . Kafi dair kee khamoshi ko paon sy roond kr Martin ney sawal Kiya .

what is your name ?

jis pr Suzi ney kaha

my name is Suzi .

aur app ka ? Martin Martin Naam hai Mera uss ney doo bar apna Naam dhora kr kaha

naa Janey Kiya huwa k Suzi k ankhoo sy ansoo bahir honay wali barish kee tarha us ke gaal pr behny lagy yeh roona tha jis mei Kisi qisam kee koi awaz nhi thi .

Martin uss kee ankho sy jari honay Waly ansoo sy ziada pareshan nhi huwa . q k yeh pehli martaba nhi tha jab woh kaly libass mei malboos Chand si larki ko roota dekh raha tha . aisa uss k sath Kai martaba hoo Chuka tha . woh aksar larkiyoo kee bebasi ko dekh kr sharminda hoo jata tha .

iss independent society k insan khud ko kehna asan tha magar iss k asoolo pr Amal krna bht mushkil tha . yeh bebas larkiya Jin k ankhoo mei dard Nazar ata tha . joo bht sanjeedha aur bht achy gharo sy taluq rekhti thi . abb tanhai k wajha sy rooti hain yaa phir Inka koi apna Jo Inka sar parast tha iss duniya sy jaa Chuka tha .

achank bus kee break lagi aur Martin apni khayali duniya sy bahir aa gaya tha aur woh bazahir yeh kehna chahta tha k agar mei Kuch dair aur inn khayalat mei rehta tu shayad mar jata lekin ek Mary huway insan ko aur Kitna mara jaa sakta tha ?

iss ney Suzi kee taraf ek Nazar dekha woh apni ankhein saaf kr rehi thi jaisy Kuch huwa hee nhi .

lekin woh aisa q kr rehi thi ? martin uss sey pouchna chahta tha pr himmat jawab dey chuki thi aur woh khamoshi ko torney ka koi aur Rasta talash krny Laga .

phir uss ney Suzi sey sawal Kiya .

Excuse me ...

Martin ney kaha

aur jaisy Suzi tu chahti thi k Martin Suzi ko mukhatib kry .

Kiya app thk hoo ? iss ney Pani kee bottel ko Suzi kee taraf barha kr poucha .

Suzi ney Pani kee bottel ko apny honton sy lagaty huway han mei sar hilaya .

Kiya mei jaan sakta Hoon k app udaas q hoo ? Martin ney poucha .

lekin rooz kee tarha Suzi ka stop aa gaya tha aur woh alweeda kehna chahti thi pr naa keh kr waa sy uth gai . aur utarty waqt uss ney Martin kee janib dekha woh muskura raha tha jaisy woh Suzi kaa hosla barhana chahta tha .

agly hee lamhy Suzi apny Ghar mei thi jaha uss ka dam ghut,ta tha . woh wine ko apny glass mei daal kr uss dewaar k samney kheri thi jaha uss k samney uss k khawand ke tasaweer thi woh koi aur nhi Martin John tha jis ko iss duniya sy gaye 3 sey bhi ziada bars hoo gaye thy . mgr ajj bhi woh Suzi kee yaadoon mei zinda tha jis kee yaadoon mei Suzi pal pal jee rehi thi ..


Load failed, please RETRY

New chapter is coming soon Write a review

Batch unlock chapters

Table of Contents

Display Options

Background

Font

Size

Chapter comments

Write a review Reading Status: C2
Fail to post. Please try again
  • Writing Quality
  • Stability of Updates
  • Story Development
  • Character Design
  • World Background

The total score 0.0

Review posted successfully! Read more reviews
Report inappropriate content
error Tip

Report abuse

Paragraph comments

Login